Friday, April 14, 2017

jAB SATYAYUG LAUT AAYEGA

jAB SATYAYUG LAUT AAYEGA.
----------------------------------
(Sirf satyayug ke laut aane ka intazar karane se hame kya hasil hoga? Agar mann mein satyayug mein pohonchane ki chahat hain to hame wo raah talashani hogi jo hame satyayug mein pohoncha sakati hain.)
.......... Kya aatma aur paramatma sachamuch mein maujud hain? Kya paramatmane hi is bramhand ka nirman kiya hain? Is dharati ka manav samaj aise kai sawalon ka jawab janane ke liye hamesha se hi utsuk hain. Is vigyan ki duniya ne is dharati ke manav samaj ki ye utsukata aur jyada badha di hain. Is dharati par maujud kai insan abhi se hi ye manane ko tayar ho gaye hain ki aatma aur paramatma ka koi astitva hi nahi hain aur na ye bramhand paramatma dwara nirmit hain. Vigyan ke kshetra se jude kai insan bhi aatma aur paramatma ke astitva ko nakar rahe hain. To kya is dharati ke manav samaj ne un vaigyanikon ke kehane ke aadhar par ye maan lena chahiye ki aatma aur paramatma ka koi astitva hi nahi hain? Agar is dharati ka pura manav samaj aatma aur paramatma ke astitva ko manana hi chhod de to usake kya parinam ho sakate hain? is baare mein wo vaigyanik bhi achchhi tarah se janate hain. Bhale hi is dharati ke manav samaj ko aatma aur paramatma ke astitva par pura yakin na ho, lekin aatma aur paramatma ke astitva ne hi aaj tak is dharati ke manav samaj ko neki aur achchhai ki raah par chalate rehane ke liye prerit kiya hain. Agar is dharati ke manav samaj ne aatma aur paramatma ke astitva ko manana chhod diya to is dharati ke manav samaj mein burai itani badh jayegi ki is dharati ka manav samaj is bramhand mein kabhi bhi lambe samay tak apane astitva ko kayam nahi rakh payega. Jab is dharati ka manav samaj aatma aur paramatma ke astitva ko manana chhod dega tab is dharati ke manav samaj ka ant hone mein jyada samay nahi lagega. Agar is dharati ke manav samaj mein aatma aur paramatma ka astitva maujud hi na hota to is dharati ke manav samaj ke ant ki shuruvat usi din ho jati, jis din is dharati ke manav samaj ne ye jaan liya tha ki "E=MC²". Isi se ye samajha ja sakat hain ki is dharati ke manav samaj ke liye aatma aur paramatma ko manana kitana jaruri hain. Jab tak aatma aur paramatma ka astitva sabit nahi ho jata hain tab tak aatma aur paramatma ke astitva par pura yakin kaise kare? har insan ye sawal apane mann mein upasthit kare isase achchha hain ki is dharati ka manav samaj aatma aur paramatma par pura yakin kare. Kaal ke garbh mein kya chhupa hain? ye koi bhi nahi janata hain. Aatma bhi maujud hain aur paramatma bhi maujud hain. Lekin paramatma is dharati ke manav samaj ke samane kab aur kaise apane astitva ko jahir karenge? hamare liye is baat ko jaan pana asambhav hain.

……….Is bramhand mein jeete hua is dharati ke manav samaj ke liye aatma aur paramatma ke astitva ko manana bahot hi anivarya hain. Aatma aur paramamta ke astitva ke bager is dharati ka manav samaj kabhi bhi is bramhand mein lakho, karodo saalon tak maujud nahi reh sakata hain. Kalpana karo ki jab paramatma apane astitva ko jahir karenge tab kya hoga? Aisa hua to is dharati par maujud har insan ko ye yakin ho jayega ki Koi bhi insan apane paapon ki saja se bach nahi sakata hain. Is baat ko samajh lene ke baad koi bhi insan kabhi bhi kisi bhi tarah ka aparadh nahi kar payega. Kalpana karo us duniya ki jaha na kisi mein kisi bhi tarah ka zoot bolane ki himmat hain aur na kisi mein kisi bhi tarah ka aparadh karane ki himmat hain aur Har taraf sirf aur sirf satya ka hi bolabala hain. Is dharati par kabhi satyayug maujud tha. Jab aatma aur paramatma ka astitva sabit ho jayega tab is dharati par fir se satyayug laut aayega. Mann mein aatma aur paramatma ke astitva ke prati honewale vishwas ke kami ki wajah se hi har insan aparadh karane ki himmat kar pata hain. Is dharati par aise bhi log maujud hain jinake har din ki shuruwat aparadh se hoti hain. Lekin wo bhi bade bade bharm-sthalo mein jakar paramatma ki kuchh is prakar bhakti karate hain mano wo paramatma ke bahot bade bhakt hain. Socho agar sachamuch mein un guneha garon ko paramatma ke maujud hone ka pura yakin hota to kya wo kisi bhi tarah ka aparadh karane ki himmat kar pate? Kya wo aparadhi kisi par bhi anyay kar pate? Is dharati par aise bhi kuchh log dikhai dete hain jo sadhu aur sant kehalate hain aur jinake har din ki shuruwat paramatma ki bhakti se hoti hain. Fir bhi wo log apani matho mein auraton ke saath avaidh sambandh rakhane ka paap karate hain. Socho agar un sadhu santo ko paramatma ke maujud hone ka pura yakin hota to kya wo aparadh karane ki himmat kar pate? Sachchai yahi hain ki har insan ke mann mein aatma aur paramatma ke astitva ke prati honewale avishwas ki wajah se hi har insan aparadh karane ki himmat kar pata hain. Lekin jab paramatma apana astitva jahir karenge tab har insan ke paas aatma aur paramatma ke astitva par shak jatane ke liye koi wajah hi baki nahi rahegi. . Jab paramatma apane astitva ko jahir karenge tab kisi bhi insan ko satya ki raah par chalane ke liye prerit karane ki avashyakata nahi rahegi. Har insan khud ki marji se hi satya ki raah par chal padega. Jab paramatma apane astitva ko jahir karenge tab ye kalayug apane aap hi satyayug mein parivartit ho jayega.

………. Aaj bhi jab koi insan kisi dusare insan se usaka ghar athava usaki jamin kharidata hain to sabut ke tour par us kharide gaye ghar ke athava us kharidi gayi jamin ke bahot se kagaj us kharidar ko apane paas sambhalakar rakhane padate hain. Lekin satyayug mein har insan ke mann mein paramatma se milanewali saja ka darr maujud hoga jis wajah se sthiti aisi ban jayegi ki agar koi kharidar sabut ke tour par kharide gaye us ghar ke athava us jamin ke kisi bhi tarah ke kagaj na banaye aur apana ghar athava apani jamin bechanewale ko sirf paise dekar hi usaka ghar, usaki jamin kharid le to bhi bechanewale ki kabhi bhi ye kehane ki himmat nahi hogi ki usane us kharidar ko kabhi bhi apana ghar athava apani jamin bechi hi nahi thi. Is tarah se satyayug mein lakho, karodo ke vyavahar bhi bager kisi kagaji sabut ke kiye ja sakenge. Agar aaj bhi bager kisi sabut ke is dharati par maujud har insan aatma aur paramatma ke astitva par pura yakin kar pata to aaj bhi aisi duniya ka nirman kiya ja sakata tha. Har insan ke mann mein ek-dusare ke prati honewale is avishwas ke pichhe har insan ke mann mein aatma aur paramatma ke prati honewala avishwas hi maujud hota hain. Agar har insan aatma aur paramatma par pura vishwas kar pata to har insan ke mann mein ek-dusare ke prati honewale is avishwas ki koi wajah hi nahi bach paati. Satyayug mein is dharati ka manav jeevan puri tarah se tanav mukt ho jayega.

………. Aaj aurate mardon ke kandhe se kandha milakar chalana chahati hain. Lekin aaj har taraf auraton ke saath atyachar aur duravyavahar ho rahe hain aur aisi gambhir paristhitiyon mein auraton ke liye har kshetra mein mardon ke saath kandhe se kandha milakar chal pana bahot kathin sabit ho raha hain. Lekin satyayug mein halat puri tarah se badal jayenge. Har mard ke mann mein paramatma ka darr maujud hoga. Jis wajah se koi bhi mard kisi bhi parayi aurat ki taraf na gandi najar se dekh payega aur na parayi aurat ke baare mein bure khayal mann mein la payega. Auraton ke liye samajik watavaran itana sudhar jayega ki agar koi aurat apane naukari ki wajah se aadhi raat ko bhi ghar se bahar nikale to bhi use na kisi bhi tarah ka khauf mehasus hoga aur na use kisi bhi tarah ki pareshani ka samana karana padega. Aaj aurate mardon ke kandhe se kandha milakar chalana chahati hain. Lekin sahi mayane mein auraton ka ye sapana satyayug mein hi sakar hota hua nazar aayega.

……….Parlaukik duniya mein har aatma ki apani koi pehachan nahi hoti hain. Is dharati par har insan ko aatma ke astitva par pura yakin nahi hain. Is liye har insan ki soch apane janm se lekar mrutyu tak ke jeevan ke safar tak hi simit ho chuki hain. Kisi bhi insan ko is baat ka jara bhi yakin nahi hain ki wo apane janm se pehale bhi aatma ke roop mein kahi na kahi par maujud tha aur mrutyu ke baad bhi aatma ke roop mein wo kahi na kahi par hamesha maujud rahega. Aatma ke astitva par pura yakin na hone ki wajah se koi bhi insan apane parlaukiki duniya ke jeevan ke safar ke bare mein soch hi nahi paa raha hain. Jisake wajah se is dharati par har insan apani pehachan mein puri tarah se dub chuka hain. Is dharati ke manav samaj mein apani pehachan se jude aise kai mudde maujud hain jinake liye is dharati ke manav samaj main apasi ladhai-zagade hote rehate hain. Apani apani pehachan ki khatir ham insan ek-dusare ka khun pani ki tarah bahate hain. Is dharati ke manav samaj ka aamta aur paramatma par pura yakin na hone ki wajah se maujuda paristhitiyon mein in sabhi muddon ka koi nishchit samadhan nikalana kisi ke liye bhi asambhav hain. Lekin satyayug mein haalat puri tarah se badal jayenge. Jab paramatma apana astitva jahir karenge tab is dharati par maujud har insan ye samajh jayega ki aatma aur paramatma sachamuch mein maujud hain aur aatma ka astitva sabit ho jaane ki wajah se har insan ko apane paralaukiki jeevan ke astitva ko manana hi padega. Saath hi mein is dharati ke manav samaj ko ye bhi manana padega ki parlaukik duniya mein har aatma ki apani koi pehachan nahi hoti hain. Jab satyayug mein aatma aur paramatma ka astitva sabit ho jayega tab is dharati ke manav samaj mein kai naye vicharadharaon ka janm hoga. Har insan ko apane parlaukiki amar jeevan ke safar ke samane is dharati par mila apana ek janm ka jeevan ka safar bilakul hi kshanik lagane lagega. Jis wajah se har insan is kshanik jeevan mein milanewali apani har pehachan se upar uthakar sochana arambh kar dega. Satyayug mein har insan apane aap ko is dharati ka sirf ek mehaman samajhane lagega aur har insan ye samajh jayega ki ye bramhand paramatma dwara nirmit hain aur is dharati par bhi sirf paramatma ka hi hak hain. Jab satyayug mein aatma aur paramatma ka astitva sabit ho jayega tab is dharati ke manav samaj ke vichar itane badal jayenge ki har insan ko apani kisi bhi pehachan ke khatir apas mein ladhana-zagadana, ek-dusare ka khun bahana galat lagane lagega. Yuddha, ladhai, zagade ye to is dharati par hamesha se hi chalate aaye hain, lekin jis din aatma aur paramatma ka astitva sabit ho jayega us din ye sabhi yuddh, ladhai aur zagadon ka hamesha hamesha ke liye ant ho jayga aur is dharati ka samajik watavaran sthir, shant, surakshit aur sukhi ho jayega. Ek taraf is dharati ke manav samaj ko ye malum hoga ki paramatma sachamuch mein maujud hain aur paramatma is dharati ke manav samaj ko kabhi bhi mitane nahi denge aur dusari taraf Is dharati ke samajhik watavaran ke sthir, shant aur surakshit ho jane ke karan har insan ye mehasus kar payega ki is sthiti mein is dharati ka manav samaj is bramhand mein hamesha maujud reh sakata hain. Jis wajah se is dharati ke manav samaj ko apane sabhi ladhai-zagade fizul lagane lagenge.

......... Is dharati ke manav samaj ka apani nyay pranali aur surksha vyavastha par jo bhi paisa kharch ho raha hain us kharche ke pichhe bhi is dharati ke manav samaj ka aatma aur paramatma par honewala avishwas hi maujud hain. Satyayug mein aatma aur paramatma ka astitva sabit ho jaane ki wajah se is dharati ke manav samaj ke apani nyay vyavastha aur suraksha vyavastha par honewale sabhi kharche kafi kam ho jayenge. Aatma aur paramatma par honewale is avishwas ne is dharati ke manav samaj ke aise kai kharche badha diye hain. Satyayug mein ye sabhi kharche kafi kam ho jayenge. Rajnetaon dwara honewala bhrashtachar bhi puri tarah se band ho jayaga. Ek taraf to aatma aur paramatma par honewale apane avishwas ke karan is dharati ke manav samaj ke ho rahe kharche kam ho jayenge to dusari taraf bhrasht rajnetaon ke karan har desh ke janata ki tijori ko ho raha nukasan bhi tham jayega. Is prakar se satyayug mein aatma aur paramatma ka astitva sabit ho jane se is dharati ke manav samaj ka kafi paisa bach jayega aur manav samaj un paison se bahot se achchhe kaam kar sakega.

………. Aatma aur paramatma ke astitva ke prati honewala avishwas hi wo sabase pehala agyan hota hain jo manav samaj mein har agyanata ko janm deta chala jata hain. Is dharati par kabhi satyayug sachamuch mein maujud tha Satyayug mein har insan aatma aur paramatma ke astitva par pura yakin karata tha. Isiliye satyayug mein manav samaj mein paap ka koi astitva maujud hi nahi tha. Samay ke saath saath is dharati ke manav samaj ka aatma aur paramatma ke astitva par honewala yakin kam hota chala gaya aur isi wajah se manav samaj mein samay ke saath saath paap badhata chala gaya. Samay ke saath saath manav samaj mein paap ke badhate rehane se hi is dharati ka kaal- chakra pehale treteyug, fir dwaparayug aur aakhir mein kalayug mein parivartit hua hain. Agar is dharati ke kaal- chakra ko fir se satyayug mein parivartit karana hain to is dharati ke manav samaj ko aatma aur paramatma ke astitva par pura yakin karana hi padega. Lekin ye bhi ek sachchai hain ki is vigyan ki duniya mein jee raha is dharati ka manav samaj bager kisi sabut ke aatma aur paramatma ke astitva par kabhibhi pura yakin nahi kar payega. Jab tak paramatma apene astitva ko jahir nahi karate hain tab tak is dharati ke kaal- chakra ka fir se satyayug mein parivartit hona asambhav hain. Lekin jab tak manav samaj is dharati par maujud jevan ke is khel ko samaj nahi pata hain tab tak paramatma kabhibhi apana astitva jahir nahi karenge. Bharat ke purvaj is dharati par maujud jeevan ke is khel ko samajhate the. Bharat ke purvaj jyotish vigyan ko manate the, wo pati-patni ke rishte ka mehatva samajhate the. Bharat ke purvaj aisa sirf isaliye karate the kyonki wo jeevan ke is khel ko samajhate the aur isiliye unhone ek aisi sanskuti ka nirman kiya hain jo sanatan hain. Ye sach hain ki samay ke saath saath bharat ki sanskruti mein bahot se badalav hua hain. Lekin is dharati ke manav samaj ko bachane ki koshish, is dharati ke manav samaj ko satyayug mein parivartit karane ki koshish is dharati ke manav samaj ko fir se bharat ki us sanskrut ki or le jayegi jis sanskruti ko bharat ke purvaj sanatan kehate the. Arthat kabhi na kabhi is dharati ke pure manav samaj ko bharat ki sanskruti ko swikarana hi padega. Is bramhand mein lakho, karodo saal jeete hua is dharati se nikala manav samaj jis sanskruti ka anukaran karega wo sanskruti bharat ki sanskruti ka hi pratik hogi. Isiliye bharat ki sanskruti mahan hain. Bharat ki sanskruti sanatan sanskruti hain. Bharat ke purvaj is dharati par maujud is jeevan ke khel ko samajhate the isiliye unhone is dharati ke manav samaj ko satyayug, tretayug, dwaparayug aur kalayug ke baare mein samajhaya tha. Aaj is dharati par wahi sab ho raha hain jo bharat ke purvajo ne yugo yugo pehale samajhaya tha. Bharat ke purvajo ne hame ye bhi samajhaya hain ki kalayug ke ant ke baad is dharati ka kaal- chakra fir se satyayug mein parivartit ho jayega. Arthat kabhi na kabhi paramatma is dharati ke manav samaj ke samane apana astitva jahir karenge. Us wakt is dharat ka kaal- chakra hamesha hamesha ke liye satyayug mein parivatit ho jayega. Jab tak paramatma apane astitva ko jahir nahi karate hain tab tak is dharati ke kaal- chakra ko satyayug mein parivartit karana hamare liye asambhav hain. Lekin aaj bhi is dharati ka manav samaj aatma aur paramatma ke astitva ko manata hain. Isi baat ka fayada uthakar ham is dharat ke manav samajh ko aatma aur paramatma ke astitva par pura yakin karana sikha sakate hain. Manav samaj mein maujud paap ka ant karane ke liye har dharm ke preshitone, sadhu aur santone hamesha aadhyatmik vicharon ki madad liyi hain. Ham bhi har insan mein aatma, paramatma aur aadhyatmik vicharon ke prati gehara vishwas jagrut karane ka karya kar sakate hain. Aisa karake ham is dharati se paap ko kam kar sakate hain. Arthat ham ye keh sakate hain ki ham apani koshish se is dharati ke kaal- chakra ko pehale dwaparayug aur fir tretayug mein parivartit kar sakate hain. Usake baad apane astitva ko jahir karake is dharati ke kaal- chakra ko satyayug mein kab parivartit karana hain? Isaka nirnay swayam paramatma hi lenge.

No comments:

Post a Comment